Wazu Ki Fazilat, Sunnat Tarika Aur Dua

How to Perform Wudu (Ablution) in Roman Urdu


Allah Rabbul Izzat Quraan-e-Kareem me farmata hai:

‘Aye Iman Walo! Jab Tum Namaz ke Liye Khade ho tou Apne chehron ko aur Haathon ko kohniyon tak dho lo aur apne sir ka Masah karo aur taqhno tak apne paon dho.’

– (Surah al Maidah 5:6)

✦ Wazu ki Fazilat:

1. Masnoon Wuzu se Gunaho’n ki Baqhshish:

۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Jis waqt Banda-e-Momin Wuzu shuru karta hai, phir kulli karta hai tou is ke munh ke Gunah nikal (jhad) jate hain. Phir jis waqt Naak Jhaadta hai is ke Naak ke Gunah nikal jaate hain.
Phir jis waqt Chehra dhota hai is ke Chehre ke Gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke is ki Aankho’n ki palkon ke neeche se bhi Gunah nikal jaate hain.
Chehra dhote waqt Guhan daadhi ke kinaro’n se bhi girte hain aur Jis waqt wo haath dhota hai tou is ke dono hathon se Gunah nikal jate hain yaha tak ke dono Hatho ke Nakhuno ke neeche se bhi nikal jaate hain.
Phir jis waqt Massah karta hai tou is ke Sir se Gunah nikal jaate hain, yaha’n tak ke dono kano se bhi Gunah nikal jaate hain.
Phir jis waqt Paaon Dhota hai tou iske dono paao se gunaah nikal jaate hain. Yaha tak ke dono paaon ke nakhuno ke neeche se bhi nikal jaate hain. Yaha tak ke wo sab gunaho se paak saaf ho kar nikalta hai.’
📕 Muslim: al Tahaara 244

2. Wazu se Hashr me Ummat-e-Muhammadi (ﷺ) ki Pahchan hogi:

۞ Hadees: Ek Shaqs ne Rasool’Allah (ﷺ) se poocha ke aap apni Ummat ko (Maidan-e-hashr me) doosri ummato’n ke (Beshumar logo’n ke) darmiyan kis tarah pehchanenge ? Aap (ﷺ) ne farmaya: ‘Mere ummati Wuzu ke Asar se Safaid (Noorani) Chehre aur Safaid (Noorani) Hath Paaon wale honge. Is tarha inke siwa aur koi nahi hoga.’ [Muslim: al Tahaara 247]

3. Wuzu se Darjaat Buland honge:

۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya: ‘Tahaarat Aadha Iman Hai.’ [Muslim: al Tahaara 223]
۞ Hadees: Sayyadna Abu Hurairah(RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi-e-Kareem(ﷺ) ne farmaya: “(Jannat mein) Momin ka Zewar waha’n tak phonchega jahaan tak Wazu ka Paani phonchega.” [Muslim: al Tahaara 250]
۞ Hadees: Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya: ‘Kya main tumhen wo cheez na bataun ke jiske Sabab Allah Ta’ala Tumhare Gunahon ko door aur darjaat ko buland karta hai ? Sahaaba ne a’arz kiya: Aye Allah ke Rasool(ﷺ) Jarur irshad farmaein. Aap(ﷺ) ne farmaya: Mushaqqat (Beemari ya Sardi) ke waqt kaamil aur Sawaar kar Wuzu karna, kasrat se masjido’n ki taraf jaana aur Namaz ke ba’ad Namaz ka intezar karna Gunaho’n ko door aur darjaat ko buland karta hai.’ [Muslim: al Tahaara 251]

✦ Masoon Wuzu ki Mukammil Tarteeb:

1. Wuzu karne se pehle Dil me wuzu karne ki Niyat kare.

2. Wuzu ke shuru me ‘Bismillah’ Padhey:

(Nasai: al Tahaara, Baab al Tasmiyyah Ind al Wuzu 78 – Ibne Qhuzaima 144)
– Wazeh rahe ke wuzu ki ibteda ke waqt sirf ‘Bismillah’ kehna chaahiye. ‘Ar Rahman nir Raheem’ ke alfaaz ka izaafa Sunnat se saabit nahi.
۞ Hadees: Nabi-e-Akram(ﷺ) ne farmaya: ‘Jo Shakhs Wuzu ke shuru me Bismillah nahi kehta iska wuzu nahi.’ [Abu Dawood: al Tahaara P101] Haafiz Munzari waghaira ne shawahid ki bina par Hasan kaha.
Agar Bismillah bhool gaye aur Wuzu ke dauran yaad aai tou fauran padhle wuzu dobarah karne ki zaroorat nahi kyunke bhool muaf hai.

3. Dahini Taraf Se Shuru Karey:

(Bukhari: al Wuzu 168 – Muslim: al Tahaara 268)

4. Dono hath phoncho tak dho ley:

(Bukhari: al Wuzu, 159 – Muslim: al Tahaara 226)

5. Hatho’n ki Ungliyo’n ke Darmiyan Qhalaal karo:

(Abu Dawood: al Tahaara 142 – Tirmizee: al Tahaara, 38)

6. Ek Chullu Lekar Aadhe se kulli karey aur Adha Naak me Daale aur Naak ko baaen haath se Jhaade, ye amal 3 dafa kare:.

(Bukhari: al Wuzu 191 & Baab al Wuzu minal Tur 199 – Muslim: al Tahaara 235)

7. Fir 3 baar Mun’h dhoye:

(Bukhari: al Wuzu 185 – Muslim: al Tahaara 235)

8. Daadhi ka Qhilaal karey.

(Tirmizee: al Tahaara 31) Imam Ibne Hibban aur Imam Ibne Qhuzaima ne Saheeh kaha.

9. Daaya’n haath kohni tak 3 baar Dhoye phir bayen Baath kohni tak 3 baar dhoye.

(Bhukhari: al Saum Baab Siwaak al Tab wa Ilyabas lil Saaem 1934 – Muslim: 226)

10. Sir ka masha kare, Dono’n haath Sir ke agle hisse se shuru kar ke Gaddi tak peeche le jaae. Phir Peeche se aage isi jagah le aae jahaa’n se masah shuru kiya tha.

(Bukhari: al Wuzu 185 – Muslim: al Tahaara 235)

11. Kano’n ka masah kare:

Shaadat ki ungliya’n dono’n kano’n ke suraqho’n me daal kar kaano’n ki pusht par anghoto’n ke saath masah kare. (Ibne Majja: al Tahaara 439 – Tirmizee: al Tahaara 36) Ise Imam Ibne Qhuzaima V1 P77 # 148 ne Saheeh kaha.

12. Daya’n paao’n Taqhno’n tak 3 baar dho le aur baya’n paao’n bhi Taqhno’n tak 3 baar dhole.

(Bukhari: as Saum 1934 – Muslim: al Tahaara 226)

13. Hath aur Pao’n ki Ungliyo’n ka Qhilal kare.

(Tirmizee: al Tahaara 39 – Ibne Majja: al Tahaara 447) Isey Imam Tirmizee ne Hasan kaha.
(Abu Dawood: al Tahaara 147 – Tirmizee: al Tahaara 40) Imaam Maalik ne Hasan kaha.

13. Wuzu karte hue a’aza ked hone me tarteeb qaaem rakhna waajib hai aur wuzu ek hi waqt me kiya jaae a’aza ked hone me waqfa aur taaqhair na ho.

14. Agar Zakhm par patti bandhi hui ho tou wuzu karte waqt patti par masah karle aur ird gird ko dhole.

(Behaqhee V1 P 228) Imam Behaqhee ne ise Saheeh kaha.

✦ Tambeehat (Don’t)

1. Kulli aur naak me paani dalne ke liye alag alag paani naa ley:

Kyunki lene ka zikar jis hadees me hai ise (Abu Dawood 139) Imam Nawavi aur Haafiz Ibne Hajar ne Zaeef kaha hai. Imaam Nawavi aur Imaam Ibne Qaiyyim farmate hain ke Rasool’Allah (ﷺ) ke wuzu ka tareeqa 1 chullu se aadha paani mu’n me aur aadha naak me daalna hai.

2. Kano’n ke liey naya paani naa le:

۞ Hadees: Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya: “kaano’n ka ta’alluq sir se hai.
(Daarequtnee V1 P98) ise Imam Ibne Jauzi waghaira ne Saheeh kaha hai).
Is ka matlab ye hai ke kano’n ke liey naye paani ki zaroorat nahi. Kano’n ke masah ke liey nae paani lene waali riwayat ko Haafiz Ibne Hajar ne shaaz kaha hai.

✦ Wuzu ke baad ki Duae’n:

۞ Hadees: Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya “jo Shakhs poora wuzu kare aur phir kahe:
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

“Ashhadu alla ilaha il-Allahu, wa ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu”

‘Main Gawaahi Deta Hu’n ke Allah Ke Siwa Koi Ma’abood Barhaq Nahi. Wo Akela Hai. Iska Koi Shareek Nahi aur Main Gawahi Deta Hu’n ke Muhammad (ﷺ) Allah ke Bande Aur Rasool Hain.’
Tou is ke liey jannat ke Aantho’n darwaze khol diey jaate hain ke jis se chaahe daakhil ho.
📕 Muslim: al Tahaara 234
📕 Abu Dawood (al Tahaara # 170) ki ek riwayat me is dua ko aasmaan ki taraf nazar utha kar padhne ka zikar hai magar ye riwayat saheeh nahi. Is me Abu Aqeel ke chacha’zaad bhai majhool hai.

• Wuzu ke baad ye Dua Padhein:

“Aye Allah! Tu Apni Tamaam tar tareefat ke saath (har Aib se) Paak hai, Main Gawahi deta hu ke Tere Siwa koi saccha mabood nahi hai, Main tujh se Baqshish Maa’ngta hu aur Tere Huzoor tauba karta hu.”
📕 Nasai A’amal al Yaum wa Laila 1) Ise Imaam Haakim, Haafiz Zahabi aur Ibne Hajar ne Saheeh kaha hai. (Kisi majlis ke qhatme par bhi yehi dua padhi jaati hai.)

• Wuzu Ki Manghadat Duaie’n se Bachey:

Rasool’Allah(ﷺ) ki sunnat se Wuzu ke shuru me (Bismillah) aur ba’ad me Shadatain ka padhna saabit hai. Lekin ba’az log wuzu me har azu dhote waqt ek-ek dua padhte hain aur wo duae’n marwajja kutub-e-namaz me paai jaati hain.
– Waazeh ho ke ye duae’n Sunnat Paak aur Sahaaba Ikraam ke amal se saabit nahi hai. Allah Ta’ala ne jab apne Rasool Akram par deen mukammil kar diya tou phir deeni aur Sharai umoor me kami beshi karna kisi ummati ke liey hargiz jaaez nahi.

✦ Sukhi Ediyon ko Azaab

۞ Hadees: Sayyadna Abdullah bin Umar se riwayat hai ke ham Rasool’Allah(ﷺ) ke saath Makke se Madeene ki taraf laute. Raaste me hame paani mila. Hum me se 1 jama’at ne Namaz-e-Ara ke liye Jald-baazi me wuzu kiya. Inki ediya’n Qhushk (Sukhi) they inko paani nahi pahonchta tha. Rasool Allah ne farmaya: (Qhushk) ediyo’n ke liye aag se Qharabi hai. Pas wuzu poora kiya karo.’
📕 Muslim: al Tahaara 241
– Is hadees se ma’aloom hua ke wuzu badi ehtiyaat se sa’nwar kar aur poora karna chaahiey. A’aza ko qhoob acchi tarah aur 3‐3 baar dhona chaahie takey zarra barabar jagah bhi qhuskh na rahe.
♥ Ek Shaqs ne wuzu kiya aur apne Qadam par Naqhun ke baraabar jagah qhushk chodhdi. Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne isey dekh kar farmaya: “Waapas jaa aur acchi tarha wuzu kar.” – (Muslim: al Tahaara, 243)

✦ Tahiyyatul Wuzu se Jannat Laazim:

۞ Hadees: RasoolAllah(ﷺ) ne farmaya: ‘Jo Shakhs wuzu kare aur khoob sanwar kar accha wuzu kare. phir khada ho kar dil aur munh se (zaahiri o baatini taur par) mutawajje ho kar 2 raka’at (nafal) namaz adaa karey tou iske liye jannat waajib ho jati hai.’ [Muslim, al Tahaara 234]
۞ Hadees: Sayyadna Abu Huraira(R.A) bayan karte hain ke, Rasool’Allah(ﷺ) ne Namaz-e-Fajar ke waqt Bilal(R.A) se farmaya: ‘Aey Bilal! Mere saamne apna wo amal bayan kar jo tuney islam me kiya aur jis par tujhe Sawaab ki bahot ziyada ummeed hai, kyunke maine apne Aage jannat me teri jutiyon ki awaaz suni hai.
Bilal(R.A) ne arz kiya: “Mere nazdeek jis amal par mujhe (sawaab ki) bahot ziyada ummeed hai. Wo ye hai ke maine Raat ya Din main jab bhi wuzu kiya tou is wuzu ke sath jis qadr nafil namaz mere muqaddar me thi zaroor padhi (yaani har wuzu ke baad nawaafil padhe).”
📕 Bukhari: al Tahajjud 1149 – Muslim: Fazaael al Sahaaba Baab min Fazaail Bilaal 2457
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez! Allah Rabbul Izzat hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik dey.

Comments