Kya Kalima e Tayyibah Hadees Mein Maujood Hai???Image may contain: text
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
Kya Kalima e Tayyibah Hadees Mein Maujood Hai???

Tehreer: Shaikh Kifayatullah Saheb Sanabili Hafizahullah
Kalima e Tayyibah “La Ilaaha illallah Muhammadur Rasoolullah (لا إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللهِ)” ikaththa inhin alfaaz ke saath kai Ahadees mein aaya hai, neechey is silsiley ki aik Sahih Hadees, Sanad ki tahqeeq ke saath paish ki jaa rahi hai usey parh kar log khud faisla kar len ke kon sachcha hai aur kon jhoota?
Imam Baihaqi Rahimahullah Farmatey Hain:
أَخْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللهِ الْحَافِظُ، حَدَّثَنَا أَبُو الْعَبَّاسِ مُحَمَّدُ بْنُ يَعْقُوبَ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْحَاقَ، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ صَالِحٍ الْوُحَاظِيُّ، حَدَّثَنَا إِسْحَاقُ بْنُ يَحْيَى الْكَلْبِيُّ، حَدَّثَنَا الزُّهْرِيُّ، حَدَّثَنِي سَعِيدُ بْنُ الْمُسَيَّبِ، أَنَّ أَبَا هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، أَخْبَرَهُ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: أَنْزَلَ اللَّهُ تَعَالَى فِي كِتَابِهِ، فَذَكَرَ قَوْمًا اسْتَكْبَرُوا فَقَالَ: إِنَّهُمْ كَانُوا إِذَا قِيلَ لَهُمْ لا إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ يَسْتَكْبِرُونَ، وَقَالَ تَعَالَى: إِذْ جَعَلَ الَّذِينَ كَفَرُوا فِي قُلُوبِهِمُ الْحَمِيَّةَ حَمِيَّةَ الْجَاهِلِيَّةِ فَأَنْزَلَ اللَّهُ سَكِينَتَهُ عَلَى رَسُولِهِ وَعَلَى الْمُؤْمِنِينَ وَأَلْزَمَهُمْ كَلِمَةَ التَّقْوَى وَكَانُوا أَحَقَّ بِهَا وَأَهْلَهَا، وَهِيَ لا إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللهِ اسْتَكْبَرَ عَنْهَا الْمُشْرِكُونَ يَوْمَ الْحُدَيْبِيَةِ يَوْمَ كَاتَبَهُمْ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي قَضِيَّةِ الْمُدَّةِ
کتاب الاسماء والصفات للبیہقی:ـ جلد نمبر 1صفحہ نمبر263حدیث نمبر195۔ ناشر:مکتبة السوادی، جدة الطبعة الأولی​
Tarjumah: Sa’eed bin Musayyab Rahimahullah bayan kartey hain ki be-shak unhein Abu Hurairah Radhiallahu Anhu ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Hadees bayan ki ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: “Allah Ta’ala ne apni kitaab mein nazil farmaya to takabbur karney wali aik qaum ka zikr kiya: Yaqeenan jab unhein La ilaaha illalhah kaha jaata hai to takabbur kartey hain aur Allah Ta'ala ne farmaya: Jab kufr karney walon ne apney dilon mein jahiliyyat wali zid rakhi to Allah Ta’ala ne apna sukoon o itminaan apney Rasool aur Mo’minon par utara aur un ke liye Kalima e Taqwah (Taqwah ke Kalimey) ko laazim qaraar diya aur woh is ke ziyadah mustahiq aur ahel they aur woh (yaani Kalima e Taqwah) “La Ilaaha illallah Muhammadur Rasoolullah (لا إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللهِ)” hai. Hudaibiyah waley din jab RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne muddat (muqarrar karney) waley faislay mein Mushrikeen se mu’aahida kiya tha to Mushrikeen ne is Kalimey se takabbur kiya tha.
[Kutab ul Asmaa was Sifaat Lil-Baihaqi, Jild No: 1, Page No: 263, Hadees No: 195]
Hadees Ka Darja (Grade):​
Yeh Hadees bilkul sahih hai, is ki Sanad (chain) ke saarey Rawi (narrators) sachchey aur qabilb e aatemaad hain, is ki sanad ke har Rawi ki tafseel aagey paish ki jaa rahi hai. Rawiyon ka mukhtasar ta’aruf:
Sa’eed bin Musayyab (Sa’eed bin Musayyab bin Hazn Al Qurashi):
Aap Bukhari aur Muslim ke markazi Rawi hain, misaal ke taur par dekhye Sahih Bukhari: 26, Sahih Muslim: 21. Aap oonchey darje ke Siqah hain, Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmatey hain:
أحد العلماء الأثبات الفقهاء الكبار​
Yani aap a’ala darje ke Siqaat aur badey fuqaha mein se hain.
[Taqreeb ut Tehzeeb: 2396]
Az-Zohri (Mohammad Muslim bin Ubaidullah bin Abdullah bin Shihaab Az-Zohri):
Aap bhi Bukhari aur Muslim ke markazi Rawi hain, misaal ke taur par dekhye Sahih Bukhari: 4, Sahih Muslim: 20. Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmatey hain:
الفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه​
Yani aap Faqeeh aur Hafiz hain, aap ki buzurgi aur Haafzey ki pukhtagi par Ijma' hai.
[Taqreeb ut Tehzeeb: 6296]
Ishaq bin Yahya Al Kalbi (Ishaq bin Yahya bin Alqamah Al Kalbi):
Yeh Sahih Bukhari ke (Shawahid ke) Rawi hain. Dekhye Sahih Bukhari: 682, 1355, 3298, 3299, 3433, 7382, 3927 aur 3434.
Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmatey hain: “صدوق” Yani Aap sachchey they.
[Taqreeb: 391]
Imam Daraqutni Rahimahullah farmatey hain: “احاديثه صالحة” Yani inki bayan ki hue Ahadees durust hain.
[Su’aalaat ul Hakim Lid-Daraqutni, Page No: 280]
Imam Ibne Hibban Rahimahullah ne aapko Siqah aur Qabil e Aitmaad logon mein zikr kiya hai.
[Kitaab us Siqaat, Jild No: 6 Page No: 49]
Yahya bin Saleh Al Wahhazi (Abu Zakariyya Yahya bin Saleh Al Wuhazi Ash-Shaami):
Aap Bukhari aur Muslim ke Rawi hain. Misaal ke taur par dekhye Sahih Bukhari: 361, Sahih Muslim: 1594. Mazeed dekhye Taqreeb: 7568.
Imam Yahya ibne Ma’een aur Imam Bukhari Rahimahumullah ne inhein Siqah kaha hai.
[Al Jarho Wat-Ta’deel: 9 / 158, Kitaab uz Zu’afa As-Sagheer: 145]
Mohammad bin Ishaq (Abu Bakr Mohammad bin Ishaq bin Ja’far As-Saghani):
Aap Sahih Muslim ke Rawi hain. Misal ke taur par dekhye Sahih Muslim: 14.
Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmatey hain: “ثقة ثبت” Yani aap Siqah aur Sabt hain.
[Taqreeb: 5721]
Abul Abbas Mohammad bin Ya’qoob (Abul Abbas Mohammad bin Ya’qoob bin Yousuf Al Asamm):
Aap a’ala darje ke Siqah hain. Imam Zehbi Rahimahullah farmatey hain:
الإمام المحدث مسند العصر​
Aap Imam hain, Mohaddis hain, Musnid ul Asr hain.
[Siyar Ulama an Nubala: 29 / 450]
Imam Abul Waleed Rahimahullah farmatey hain: “ثقة مشھور” Yani aap mash-hoor Siqah hain.
[Tareekh e Dimashq: 65293]
Abu Abdullah Al Hafiz (Hakim Naisaaboori):
Aap ma’roof aur mash-hoor Siqah Imam hain, Hadees ki mash-hoor kitab “Al Mustadrak” aap hi ki likhi hue hai. Aap apney waqt mein Mohaddiseen ke Imam they.
[Siyar Ulama an Nubala: 164, 33163]
Ibne Imaad farmatey hain: “ثقة حجة” Yani aap Siqah aur Hujjat hain.
[Shazraat uz Zahab: 3175]
Is tafseel se ma’loom huwa ki upar zikr ki gai Hadees bilkul sahih hai, aur Kalima e Tayyibah “La Ilaaha illallah Muhammadur Rasoolullah (لا إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللهِ)” yeh kisi ummati ka banaya huwa nahi hai balki is ki ta’leem Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne di hai, ab un logon ko tauba karni chahiye jo kehtey hain ki Kalima e Tayyibah parhney ki ta’leem Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hadees se nahi balki Fuqaha ki Fiqah se milti hai Na’ozubillah! Aur awaam ko chahiye ke woh aisey tamam logon se hooshiyar rahen jo din raat is tarah ka jhoot boltey hain, aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Ahadees ko logon se chupatey hain, Allah Ta’ala aisey logon ko Hidayat de aur tamam musalmanoon ko Kitaab o Sunnat ki pairwi ki taufeeq de. Aameen .

Comments