ILM-E-GHAIB
Aye nabi ! kah dijiye: main tumse nahi kahta ke mere pass Allah ke khazane hain, aur na main Gaib janta hu aur na main tumse ye khata hu ke main Farishta hu, main to issi chiz ki pairwe karta hu jo meri taraf Wahee ki jati hai, kah dijiye kya bina aur nabina(blind & blindless) barabar ho sakte hain phir kya tum gaur nahi karte?
( *Sura- Tul-Anaam, Aayat-no: 50 * )No photo description available.
Tashrih:- >( Qul laaa ‘aqoolu lakum ‘indee khazaaa’inul-laahi )
Allah-Taala ne apne Rasool{s.a.w} se farmaya: kah dijiye ke main tumse ye nahi kahta ke mere pass Allah ke khazane hain, yani main Allah-Taala ke khazano ka maalik nahi aur na main isme tasraf ka koi ikhtiyaar rakhta hu.
( Wa laaa’a ‘lamul-ghayba ] aur na main tumse kahta hu ke main Gaib janta hu, kyon ke Elm-e-Gaib Allah-Taala hi ka khaas hai aur mujhe sirf issi qadar Elm hansil hai jo Allah- Taala ne ata farma diya hai,
( Wa laaa’aqoolu lakum’ innee malakun ) aur na tumse ye kahta hu ke beshak main Farishta hu, yani main Farishta hone ka bhi dawe-daar nahi hu, kyon ke main ek insaan hu, han !
albatta mujhe par Wahee nazil hoti hai, Allah-Taala ne mujhe is sharf-wa- Anaam se sarfaraz farmaya hai ke isne mujhe nabi banaya hai. issi liye farmaya:-
( ‘in ‘attabi’u’illaa maa yoohaaa ‘ iiayy; ]*}*) main to sirf iski pairwe karta hu jo meri taraf Wahee ki jati, yani isse ek balisht barabar bhi kami besi aur nahi karta-
( qul hal yastawil-‘a’maa wal baseer; ) kah dijiye ke bhala bina aur nabina(blind & blindless) barabar ho sakte hain?
yani jo shakhsh haq ki ittaba kare aur hedayat yafta ho to wo aur haq se door ho kar gumraah ho jane wala barabar kaise ho sakte hain?
( ‘afalaa ta tafakkaroon ) kya phir tum gaur nahi karte? jaisa ke farmaya: bhala jo shakhsh ye janta hai ke jo kuch apke paradigaar ki taraf se aap par nazil hua hai wahi Haq hai, wo is shakhsh ki tarah andha hai?
pas nasihat wo hansil karte hain jo Aaqalmand hain. Aur iski puri tafsir ke liye dekhe
( Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al-Anaam, Aayat-no,50 )
Aur issi ke pass gaib ki kunjiya hai, inhe iske siwa koi nahi janta aur wo janta hai jo kuch khushki aur tari me hai aur koi patta nahi girta jise wo janta na ho aur zameen ke andhero me koi dana aisa nahi photta jise wo janta na ho aur koi tar chiz aur koi khushk chiz aisi nahi jo wazha kitaab me likhi hui na ho.
( *Surah-Al-Anaam, Aayat- no: 59 * )
Allah ke siwa koi Gaib nahi janta:- Irshad-e-bari- taala hai ( Wa ‘indahoo mafaatihul-ghaybi laa ya’ lamuhaa ‘

Comments