📮 DARGAAH PAR PHOOL AUR CHADAR CHADHANE KI EK ANDHI AQEEDAT 📮
🍂🍃Bismillahhirrahmanirrahim🍃🍂
📘Jawab :
🔹Jo log Dargah ya Qabro par phool-chadar chadhate hai wo is Hadees hawala dete hai…
🔻🔻Hadees is tarah hai…
“Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhu Se rivayat Hai Rasoolullah Ka Guzar 02 Qabro k paas Se Huwa To Aap صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya in Qabro walo ko Kisi badi Galti ki Wajah Se Aazab Nahi Horaha hai, balki inme se ek peshab ki Chheente(boond) se nahi bachta Tha Aur Dusra Chugal Khori Kiya Karta Tha. Aap ne jab un dono kabro me aazab dekha to Aapne Khazoor Ki Ek Sabz (green) Shaak Lekar Uske 02 Tukde kiye Aur Dono Qabro par ek ek Gaad Diya. Sahaba E Kiram Rizwanallahu azmain ne jab Aap k is amal ko dekha to arz kiya YA RASOOL ALLAH Aapne Aisa Kyu Kiya ?
Is Par Aap farmya لَعَلَّهُ أَنْ يُخَفَّفَ عَنْهُمَا مَا لَمْ يَيْبَسَا
Jab Tak Ye Shake Khusk Na Hogi Un Par aazab me Takhfeef Rahegi”.
📙(Sahih Bukhari, Vol : 02,Pg :255, Kitab No 23 Kitabuz Janaiz, Baab : Kabr Par Shakein Lagana, Hadees : 1361)
 Is Hadees se kya pata chalta hai…
1⃣Is HADEES se 1 baat malum hoti hai ke aaj bhi kisi Qabr me agar azaab diya ja raha hai to ham bhi koi kisi ped (tree) ki kachhi daali (taheni) us Qabr par laga sakte hai lekin buniyaadi sawal hai ke HAMKO KAISE pata chalega ke fala Qabr me azaab ho raha hai??? Kya hamare paas Allah ki taraf se wahee(paigham) aati hai jis se hame pata chal jaaye ke fala Qabr me azaab ho raha hai.
2⃣Allah ke Nabi Janab Muhammad SallallahuA’laihiWaSallam ko Allah ne wahee (paigham) ke zariye unko bata diya tha ke in 2 Qabro me Azab diya ja raha hai.
Yaha Allah ne Nabi SallallahuA’laihiWaSallam ne un Qabro par Khajoor ki taheni (shakh) lagayi thi. Lekin aap kis buniyaad par Qabro par phool chadhate ho?
Kya Nabi aur Sahaba har Qabr par jakar aisa amal kiya karte the? lekin aaj jo tum saare Qabro ke sath aisa hi karte ho? Kis buniyaad par karte ho ? Nabi ke 1 khas amal ko apne aam amal bana diya hai.
3⃣Aaj jo log Qabro ya Dargah par phool ya chadar chadha rahe hai iska matlab ke apke Dada, baap, bete, bahen ko Qabr me ya Dargah wale Wali ke Qabr me azaab ho raha hai. Lekin sawal ye hai ke Awliya ko to Qabr me kaha azaab diya jata hai? Agar Awliya par azaab nahi hota hai to fir unke Qabr par phool chadhakar kya fayda? Agar ham be-wajah phool chadhate hai to fir to ham is Hadees aur Sunnat ke khilaaf kaam rahe hai.
4⃣Is Hadees se log Nabi ko “ilm-gaib” hone ka masla nikalte hai. Sach baat to ye hai ke kisi bhi Nabi ko utna hi malum hota jitna Allah unhe wahee (paigham) ke zariye bata de warna Rasoolullah un Qabr walo ke naam aur kaha ke rahne wale the aur wo unki wafaat kab huyi ye bhi bata dete.
🚫 ILM-e-Gaib ke bareme Quran kya kahta hai…
1⃣“keh do k Allah ke siwa aasmaanoon aur zameen mein koi bhi ghaib ki baat nahi jaanta aur unhein iss ki bhi khabar nahi ke wo kab uthaaye jayenge.”
📙(Surah Namal, 27: Ayat 65)
🔻Is ayat se malum hota hai ke kisi bhi Nabi ko utna hi malum hota jitna Allah unhe wahee (paigham) ke zariye bata de.
2⃣“Wo gaib ka jaanne waala hai aur apne gaib par kisi ko mutthala nahi karta. sivaaye us paighambar ke jise wo pasand karle, lekin us ke bhi aage piche pehre daar muqarrar kar deta hai”.
📙(Surah 72 Jinn: Ayat 26-27)
Wallahu alam
DARGAH ki SHARAI HAISIYAT 
📮 DARGAH ki SHARAI HAISIYAT 
🍃🍂Bismillahhirrahmanirrahim 🍃🍂
🚸Awliya ke ziyarat ke liye unke Dargah par jana, Phool-chadar chadanaa, unse mannate mangna ye sab dur ki batein hai lekin aaj hame dekhna hai ke sab se pahle SHARAI taur par DARGAH banana kaisa hai ? Pyari Nabi SallallahuA’laihiWaSallam ka kya hukm hai DARGAH banane ke bareme.
💠Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabro ko pukhta karne aur us par likhne aur us par tameer karne aur us par chalne se mana farmaya hai.
📙(Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1040-Sahih)
💠Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabro ko pukhta karne , us par tameer karne aur us par baithne se mana farmaya hai.Image may contain: text
📙(Sunan Nasaii, Vol 1 , 2032-Sahih)
Is Hadees ke ain mutabik…
1⃣Dargah Unchi banai jaati hai.
2⃣Dargah pukhti (mazboot) banayi jaati.
3⃣Dargah par construction (taamir) kiya jaata hai.
4⃣Us par baitha jata yaani Mujawari ki jaati hai.
🔴🔴DARGAH par SAJDA, Ruku, Qiyam, MANNAT, Dua karna kaisa hai 
“Jab Maaz bin Jabal Sham se wapas huye to unone Nabi SallallahuA’laihiWaSallam ko sajda kiya, Nabi s ne kaha, Maaz Yeh kya hai ? Unone kaha, Ye Allah ke Rasool, mai ne Sham me dekha ke log unke Ibadat guzaro aur sardaro ko sajda kar rahe the, aisa karne ki daleel unke Nabiyo se de rahe the. Rasoolullah s ne kaha : wo log jhoot bol rahe hai. Ye Maaz, agar mai kisi ko sajda karne ki izazat deta , to mai hukm deta ke Biwi apne Shohar ko sajda kare kyunke Shohar ka martaba biwiyo se bada hai. Ye Maaz, kya tu Sajda karne ko sonchenga ke agar tera guzar mere Qabr ke paas se huwa to ? Unone kaha : nahi.
📙(Musand-e-Ahemad)
aur 1 dusari Hadees me ….
Rasoolullah Sallellahu Alaihi Wasallam Ne Kaha:
”Ya Allah Meri Qabar Ko Buth (ibadatgaah) Na Banana Jiski Puja Ki Jaye. Allah Ka Us Qaum Par Saqt Gazab Nazil Hota Hai Jo Apne Nabiyo Ki Qabaro Ko Ibaadat Gaah Bana Lete Hai”.
📙(Muwatta Imam Malik 9 : 88)
Aisha (RA) Farmati Hai ke SallellahuAlaihiWasallam Ne Aakhri Waqat Me Farmaya:
”Yahood Wa Nasara Par Allah Ki Laanat Ho, Unhone Apne Ambiya Ki Qabro Ko Sajda Gaah Bana Liya”.
Agar Is Baat Ka Khouf Na Hota Ke Rasoolullah Ki Qabr Ko Bhi Sajda Gaah Banaliya Jayega To Aap Ko Band Hujre (room) Me Dafan Na kia Jata Aur Aap Ki Bhi Qabr Khuli Hoti.
📙(Sahih Bukhari – 1390, Sahih Muslim – 529)
Is 3 Hadeeso ke mutabik…
1⃣Pyare Nabi SallallahuA’laihiWaSallam ne khud apni mazaar ya Dargah banane aur uski IBAADAT (Pooja) karne se roka hai.
Jab Nabi ki DARGAH banana jayez nahi to fir Nabi se nichhle darje walo ki DARGAH banana kaisa hai? kya koi Wali Allah ke Rasool se bada hota hai?
Agar DARGAH banana jayez hota to sab sabse pahle hamare pyare Nabi s ki Dargaah banayi jaati.
2⃣Aaj Dargaaho ko SAJDA GAAH bana liya gaya.
3⃣Awliya ke Qabro par yanai Dargaah par Ruku, sajde, qiyam (adab se thaherna), mannat, niyaaz, dua mangna ye saab unki Ibaadat karne jaisa hai. Isliye ye SHIRK hai.
4⃣Dargah taazimi ya ibadati SAJDA karna yani unki Ibadat hai yaani SHIRK hai.
5⃣Muhammadur Rasoolullah SallallahuA’laihiWaSallam ne DARGAAHO (Qabro) ki ibaadat karne walo par lanat bheji hai.
Isliye Allah ne kya khub kaha :
“Un me se Aksar log Allah par Imaan rakhne ke bawajood bhi MUSHRIK hi hai”.
📙(Surah 12 Yousuf: Ayat 106)
“Yaqeen maano ke jo shaqs Allah ke saath shareek karta hai, Allah ta’ala ne us par JANNAT HARAM kardi hai (حَرَّمَ ٱللَّهُ عَلَيْهِ ٱلْجَنَّةَ ), us ka thikaana jahannam hee hai aur gunehgaaro ki madath karne waala koyi nahi hoga.
📙(Surah 05 Maydah : Ayat 72)
Allah ke zaat, ibaddat aur Asmaa wa sifaat me kisi ko sharik karna SHIRK hai ham jisko sharik kar rahe wo chahe Nabi aur Wali hi kyun na ho.
Ya hamare ham sabko DEEN ki sahih samaj jo samaj tu ne Nabi SallallahuA’laihiWaSallam aur Sahaba ko di thi.
Wallahu alam sawab.

Comments