TALAAQ KE BAARE ME (EK MAJLIS KI 3 TALAAQ)
Bismillahirrahmanirraheem
================================
TALAAQ KE BAARE ME (EK MAJLIS KI 3 TALAAQ)
=================================No photo description available.
QURAN ME HAI
2:229 “TALAQ DO MARTABA HAI”
LAFZ MARRATAN, MARAT TA TANBIYA HAI JISKE MAANI YE HAI KE EK MARTABA KE BAAD DUSRI MARTABA YANI WAQFE KE SAATH. YE MAANI NAHI HAI KE EKHATTHI 2 TALAQE JAISA KE DARJ ZEIL AYAT BHI ISPAR SHAHID HAI:
sURAH NOOR 58
“WALLAZINA LAM YABLUGUL HULUMA MINKUM SALASA MARRATIN……………….”
TARJUMA:
Imaan walo! tum se tumhari milikiyat ke ghulamo ko aur inhein bhi jo tum me se bulughat ko na pahunche hu (apne aane ki) TEEN WAQTO ME IJAAZAT HAASIL KARNI ZAROORI HAI. NAMAZ FAJR SE PAHLE AUR ZOHAR KE WAQT …… AUR ISHA KI NAMAZ KE BAAD……………
IS AYAT ME LAFZ MRAT MARAT KI JAMAT HAI, IS LAFZ K BAAT 3 AWQAT BAYAN KIYE GAYE HAIN JINME WAQFA HAI NA KE EKHATTE HAIN (YANI EK MARTABA FAJAR SE PAHLE, DUSRI MARTABA DOPAHER KO, TEESRI MARTABA NAMAZ ISHA K BAAD)
LEHAZA MALOOM HUWA KE PAHLI AYAT ME BHI WAQFE KE SAATH TALAQE DENA MURAD HAI NA K IKHATTHI.
1.
Ahde risalat, Hazarat abu bakar k daur-e-khilafat aur Hazrat Umar Razi ki khilafat k ibtedai 2 saal tak TEEN TALAQEIN EK TALAQ HI SHUMAR HOTI THEIN. PHIR HAZRAT UMAR RAZI NE FARMAYA, LOGO NE AISE MAMLE ME JALDI KI HAI JISME INKE LIYE SAHULAT DI GAI THI PAS CHAHIYE KE HUM ISE NAFIZ KARDE LEHAZA AAP RAZI NE ISE IN PAR JARI KARDIYA. (YANAI 3 TALAQO K BAIK WAQT WAQE HONE KA HUKM DE DIYA)
(ABDU DAUED, KITABUT TALAQ h. 2199, AUR NASAI 6/145, AUR SAHI MUSLIM 1472)
2.
Hazrat Abu rukana raz ne apni biwi ko ek hi majlis me 3 talaqein di the phir ispar nadim w pashyeman hue, rasul saw ne abu rukana razi se farmaya: “wo teeno talaqein ek hi hain” (Ahmed 1/265, AUR Balagul Maram 1009, shaikh subhai hallaq ne ise hasan kaha hai – At taleeq ala sablus salam 6/212)
3.
Ek riwayat me hai k nabi saw ne Abu rukana raz se kaha ke tum Umme rukana se ruju karlo. unhone arz kiya mene ise 3 talaqe de di hain. to aap saw ne farmaya: “Muje maloom hai, tum is se ruju kar lo”
(Hasan: Sahih Abu dawood 1922, aur mazeed 2196, mazeed 2206, aur TIRMIZI 1177, AUR IBN MAJA 2051, AUR DAR QUTANI 4/34-35, AUR IBN HIBBAN 10/97, AUR MASTADRAK HAAKIM 2/199)
nOTE: AGAR TEENO TALAQEIN WAQE HOJATI TO NABI SAW ABU RUKANA KO RUJU KA HUKM NA DETE BALKE UMME RUKANA KO KISI AUR SHAKS SE NIKAH KA MASHWERA DETE.
4.
hAZRAT Mehmood bin labeed raz ki riwayat me hai k “nabi kareem ko khabar di gai ke ek shaks ne apni biwi ko ikhatthi 3 talaqe de dali hain. aap saw ghazabnak hokar khade hogaye aur farmaya: “kya allah tala ki kitab se khela jara hai jabke main abhi tumhae darmiyan maujood hoon” hatta ke ek aadmi khada hua aur isne arz kiya, aye allah ke rasul (saw) kya me ise qatal na kar daloo?
(Sahih: Gaayatul muraam 261, aur At Taleeq ala rauzat tadiya albani 2/48, aur Nasai 3430)
in tamam dalail se ye malum huwa ke agar
koi shaks apni biwi ko ekhatthi 3 talaqe de deta hai to wo darhaqiqat ek hi shumar hogi.
i)
HAZRAT IBN ABBAS RZ.
ii)
HAZRAT ZUBARI BIN AWAM RZ.
iii)
HAZRAT ABDUR RAHMAN BIN AUF RZ.
iv)
HAZRAT ALI RZ.
v)
HAZRAT IBN MASOOD RZ.,
vi)
IMAM AKRAMA RH.
AUR
vii)
IMAM TAOOS RA. ETC. KA BHI YAHI FATWA HAI.
(GAAYATUL HAFAN 1/329, AUR FATEHUL BAARI 10/456)
viii)
IMAM IBN TEMIYA RA. ISI K QAAIL HAIN. (AL FATAAWA 3/16-17)
ix)
IMAM IBN QAYYIM ISI MUAQQF KO TARJEEH DETE HAIN. (ZAADUL MAAD 5/241, AUR ALAAMUL MOAQIYYIN 3/30)
x)
SHAIKH IBN BAAZ R.: iKHATTHI 3 TALAQE EK HI SHUMAAR HOGI.
(FATAWA ISLAMIYA 3/49)
AUR EK DUSRE FATWE ME FARMATE HAIN K DURUST BAAT YE HAI K AGAR MARD EK KALMA SE APNI AURAT KO 3 TALAQE DE TO WO EK HI SHUMAAR HOGI. (FATAWA IBN BAAZ. MUTARJUM 1/177)
xi)
SAUDI MAJLIS IFTAA:
AGAR MARD APNI BIWI KO EK HI LAFZ K SAATH 3 TALAQEIN DE DE TO ULEMA KE SAHIH-TAR QAUL KE MUTABIQ SIRF EK HI TALAQ WAQE HOGI.
(FATAWA ALJANAT DAIMAT ALBHUS ILMIYAT WAL IFTA 20/163)
KUCH ULEMA KA KHAYAL HAI K TALAQ-E-BIDAYI WAQE NAHI HOTI:
IBN TEMIYA: TALAQ BIDAYI WAQE NAHI HOTI (AL-FATAWA 5/32)
IBN QAYYIM: ISI KE QAAYIL HAI. (ZAADUL MAAD 5/218-238)
IBN HAZAM: ISI K QAAYIL HAI. (AL-MUHALLA 9/358, AUR ALMAALATA 1945)
ALLAMA SHOKANI: ISI KO TARJEEH DETE HAIN: (NEELIL AWTAAR 4/319)
CHUNKI TALAQ BIDAYI KA HUKM NA ALLAH TALA NE DIYA HAI AUR NA HI RASUL SAW NE LEHAZA YE MARDUD HAI TO PHIR ISKA SHUMAR KYUN KAR HO SAKTA HAI.
EK HADIS ME HAI:
“JISNE KOI AISA AMAL KIYA JIS PAR HAMARA HUKM NAHI WO MARDOOD HAI”
(MUSLIM: 1718, BUKHARI 2697)
HADIS NABWI HAI “HAR BIDAT GUMRAHI HAI” (SAHIH MUSLIM 1435)
JAB YE TALAQ BIDAYI HAI AUR HAR BIDAT GUMRAHI HAI TO GUMRAHI SE HUKM KA ASBAAT KAISE MUMKIN HAI?
==========================
umar rz ka tazeeri hukm talaq k baare me:
==========================
BAHES YE NAHI HAI KE 3 TALAQ KO EK KARNE KA UMAR RZ KA IQDAAM APNI JAGAH MUNASIB THA YA NAHI. BAHES YE HAI KE ORDER TAZEERI THA AUR TAZEER KA AAP RAZI. KO beshak HAQ THA.
TA-HAM UMAR FAROOQ RAZ APNE IS IQDAM PAR AAKHIR UMR (AGE) ME MUTASSIF THE.
HAAFIZ ABUBAKAR ISMAILI MASNAD UMAR ME LIKHTE HAIN:
“MUJE 3 CHEEZO PAR BAHOT ZIYADA NADAMAT HUI HAI
1) TALAQ KE HARAM KARNE PAR
2) AZAD KARDA AURTO SE NIKAH NA KARNE PAR
3) AUR KAASH NOHA KARNE WALIYO KE LIYE QATAL KA HUKM NA JARI KIYA HOTA”
(AGAASAT 1/336)
EKHATTHI 3 TALAQ JIS ME AAP NE TAZEER LAGAI THI AUR JISKA AAP RZ. KO AFSOS THA.
dekho:
IBN QAYYIM LIKHTE HAIN:
“YAQINAN HAZ. UMAR RZ. NE TALAQ SALASA KE WAQU KI HURMAT KO CHAHA THA”
(AGASATH 1/336)
HAZRAT UMAR RZ KI TAZEER KO MADD-E-NAZAR RAKH KAR FATWE SADIR KARNE SE PAHLE UNKI NADAMAT KO BHI SAMNE RAKHNA CHAHIYE (JO UPAR BYAN HUI HAI HAWALE K SAATH). JISSE MALUM HOTA HAI K YE EK HANGAMI TAZEER THI JO LAGI AUR KHATAM HO GAI KOI MUSTAQEEL QANUN NAHI THA. JISE ABAD TAK BAQI RAHNE DIYA JAYE ASAL MASLA LAUT AANA CHAHIYE. HAZRAT UMAR RZ NE AGAR TAZEER LAGAI THI TO WO WAQTI THI.
Un se pahle khud unhi ke daur me kyun nahi huwa?
Hz abu bakr ra ke daur me kyun nahi huwa?
23 saal tak nabi e akram(sws) ke ahad mubarak me kyon nahi huwa??
Kya isliye naafez nahi huwa tha ke isse pahle aapke khyaal se yah qanoon shariat tha hi nahi agar agar nahi tha aur aap likhte hain ke baad me hz umar ra ne shariat ke mutabik ek saath ki 3 talaaq ko teen waqai hone ka huqm kar diya to usse yah pata chala ke shariat ka yah qanoon aapke khyaal se hz umar ra hi ko mila aur jab kanoon shariat hz umar ra ko mila to shahab e shariat aap ke nazdeek wahi hue aur jab shahab e shariat hue to in ka rasool hona aapke(muqallid) nazdeek musallam ho gaya,
magar yah sirf isi surat me hai jabki aap yah maante hon ke hz umar ra ke elaan se pahle shariat ka yah qanoon tha hi nahi !
Aur ahad nabwi me ek saath ki teen talaaqen hadith ki roshni me Jo ek maani jaati thi wah manmaani thi shariat ka qanoon nahi tha, shariat ka qanoon to wah tha jis ka elaan hz umar ra ne kiya,
aur agar aapke khyaal se ek saath 3 talaaq dene par teen hi waaqai hone ka shairai qaanoon hz umar ra ke elaan karne se pahle ka hai jo nabi e akram(sws) hi ko mil chuka tha, magar maana nahi jaata tha….. Naozubillah
tab to main maan leta hun ke nabi e akram(sws) aap ke nazdeek shahab e shariat hai, magar ek baat bhi uljhan ki rah jaati hai, jise door karna aap(muqallid) par laazim hai
wah yah ki shariat ka qanoon ba qawl aapke teen talaaq ko teen maanne ka tha magar ahad nabwi me ek hi maani jaati thi
goya qanoon shariat ke khilaaf kiya jaata tha to aapko bataana yah hai ke shariat ke is qanoon ko kaun nahi maanta tha?
Kya nabi e akram(sws) nahi maante they ya sahaba kiram nahi maante to kyun??
Agar nabi e akram(sws) ek saath ki teen talaaq shariat ke qanoon ke Mutabik teen nahi maante they balki teen ko ek maante they to muqallid hanafi batayen ke iski wajah kya hai?
Kya nabi e akram(sws) naozubillah shariat ka ye huqm samjh nahi sake they aur hz umar ra samjh gaye !!
Ya nabi e akram(sws) aapke khayaal me kisi gharz se teen ko ek maante they aur is tarah qanoon shuru me naozubillah nabi e akram(sws) ne tabdeeli kardi thi !
aur saath hi aap(muqallid) yah bhi batayen ke allah taala naozubillah apne rasool ki is khayaanat ko samjh saka tha ya nahi?
Agar allah taala samjh gaya tha tab phir kyon farmaya:
” yani muhammad (sws) ghaib yani meri taraf se ata kardah ilm ko pahunchaane me bakheel(kanjoos) nahi hai”
(surah takwir 24)
aur yah bhi farmaya
” yani mera rasool agar koi baat gadh kar meri taraf se kahe de to ham usko…. Pakad len ge aur uski shahrag kaat den ge”
(surah haqqa 44-46)
haqqani(muqallideen) shahad aapne nabi e akram(sws) ko allah ki Baatein pahunchaane me bakheel saabit hi kardiya,
kyonki shariat ka yah qanoon tha ke ek saath di gayi teen talaaqen teen waqey hoti hain, magar nabi e akram(sws) ne pahunchaaya nahi !!!
Magar ek baat bata dijiye ke allah ne farmaya tha ke agar kuch baatein apni taraf se gadh ke kah den ge to aapko pakad ke shahrag kaat dunga….. Aur nabi e akram(sws) ne baqaul aapke ek saath ki teen talaaqon ko teen na maankar ek hi maana to sawaal yah hai ki nabi e akram(sws) ki ragen(viens) kaat di gayi thin, agar nahi kaati gayi to aap(muqallid) kaat rahe hain
ya baqaul aapke naozubillah nabi e akram(sws) ne jo manmaani shariat ke qanoono me ki hai allah taala ko aapke khyaal se uska ilm hi nahi ho saka to kya allah taala ne begair ilm ke elaan kar diya ke:
” nabi e akram(sws) apni taraf se kuch nahi kahte jo kahte hai wah mere jaanib se wahiy hoti hai”
(surah najam 3,4)
Baherhaal, mauzu kaafi lamba ho raha hai… Isliye aham cheez par aata hun
bhaiyyon aap khud sochen ! Muqqalid ke mutabik Jab ek saath ki 3 talaaqen teen hi waqai hone ka sharai qaanoon tha aur teen talaaq se zyada shauhar ko talaaq dene ka haq nahi jab teeno waqai ho gayi to biwi par shauhar ka koi haq baaqi nahi rah gaya,
yani biwi se shauhar ka nikaah khatm ho gaya, ab usse mujaammat haraam hai,
toh ab aap hi batayen ahad mubarak se lekar ahad farooqui ke do saal tak yani 27 saal ke andar jis sahabi ya tabieen ne ek saath apni biwi ko teen talaaqen de di aur yaqinan di hon gi, kyonki aapne(haqqani) muslim shareef ke hawaale se page no 62 par jo riwaayat naqal ki hai isme hai ke
hz umar ne elaan se pahle kaha :” jis kaam me logon ko takheer karni chahiye isme jaldi karne lage hain”
iska matlab yah hai ke aisa aam taur par hota tha ke log ek saath teen talaaqen de dete they,
to kahna yah Hai ke sahaba wa tabieen me se jisne bhi ek saath teen talaaqen de din aur is waqt ke maanne ke mutabik teen ko ek hi maanna aur chunke ek par ruju kar sakte hain yaani begair nikaah ke biwi ko rakh sakte hain,
isliye unhone ruju kar liya aur begair nikah ke rakh liya, haalanke aapke (muqallid) ke irshaad ke mutabik shariat ka qanoon teen hi padhne ka tha , isliye biwi inpar haraam ho chuki thin,
to janab paalan haqqan baqalam khud mujhe bataao ke tumhaare khyaal se 27 saal tak sahaba wa tabien najayez taur par begair nikah ke biwion ko rakhte rahe? Aur nabi e akram(sws) apni aankhon se tamaasha dekhte rahe aur roka nahi !!
Hz abu bakr ra, hz umar ra apni khilaafat ke do saal tak aur inke elaawa dusre bade sahaba is bad’fael ko karte dekhte rahe aur khamosh rahe??
Ya aap(muqallid) ke mutabik ek saath ki teen talaaq ke teen waqai hone ka sharai qanoon nabi e akram(sws) batana bhool gaye?
EK MAJLIS KI 3 TALAQ ASAL ME EK
Allah ke rasool (sws) ki hayaat e mubarak me hi deen muqammal ho gaya tha, aap deen ko naakis wa na mumkin chhod kar nahi gaye quran ne bhi elaan kar diya
” aaj maine tumhare liye tumhaara deen qaamil kar diya aur apni nematen tum par poori kar di aur tumhare liye islam ko deen pasand kiya”
is aayat ki roshni me ham ko zindagi ke tamaam masail ka hal shariat taiyyaba aur farameen nabawiyah aur fatawa muhammadiah me talaash karna chahiye, aisa koi bhi masla koi bhi fatawa bhi faisla koi bhi farmaan jis par madeena waale ki mohar na ho hamare liye zaruri taur par qaabhl e qubool nahi
masla talaaq salasa ko bhi hamen isi roshni me dekhna hoga ke hz muhammad sallallaho alaihi wasallah(pbuh) ne is par kya fatawa diya aur kya huqm saadir farmaya aur ahadith sahiha marfoo aa se kya saabit hai,
wajeh rahe ke zaeff hadith hujjat wa daleel me suboot ke taur par nahi pesh Ki jaa sakti, sahih ke muqaable me aur na zaeef hadith ki buniyaad par koi aqeeda banaya ja sakta hai, zaef hadith wah hai jiska koi raawi jhoota ho yah uska hafiza khraab ho gaya ho,
isi tarah mauzu mangand riwayaton ko bhi daleel me nahi pesh kiya ja sakta hai,
muhaddiseen ne is baat ki tashrih kar di hai ke kis hadith ka kya darja hai, kaun sahih hai aur kaun zaef
talaaq salasa ke silsile me sabse aham riwayatein SAHIH MUSLIM shareef ki hai jinki sehat me qalaam ki gunjaish nahi,
sahih muslim ki riwayaton ka darja sehat me bukhari shareef ke barabar hai, isliye yah dono kitaben sahih bukhari wa sahih muslim ke naam se pukaara jaata hai,
islam me quran ke baad sahih bukhari aur sahih muslim ka martaba hai, bila ittefaaq muhaddiseen muslim shareef aur bukhari shareef me koi zaef hadith nahi hai,
sahih muslim me hai ke “teen talaaqen zamaana nabwi me aur khilafat siddique me aur ibtedaai do saal Khilaafat farooqui me ek hi shumaar ki jaati thi, phir hz umar ra ne farmaya:” logon ne is kaam me jisme inke liye aasaani thi ajlat shuru kar di hai.. Isliye accha hai ke unhe sab ko inpar jaari kar diye jaaye, chunanche jaari kar diya”
isi sahih muslim me hai :- hz abu al sahba ne hz ibn abbas ra se kaha : kiya aap ko maaloom nahi ke teen talaaqen huzoor(sws) ke zamaane me aur zamaana e siddiqui me aur teen saal tak zamana farooqui me ek kar di jaati thi?? Ibne abbas ne farmaya- haan!”
(muslim)
isi sahih muslim me hai ki-
” abu al sahba ra ne ibn abbas ra se farmaya– laao jo tumhare paas ho, kya teen talaaqen huzoor(sws) ki zindagi me aur siddique akbar ra ki baadshaahat me ek hi na thi?? Ibn abbas ra ne farmaya-beshaq!, phir zamana umar ra me jabke logon ne pe darpe shuru kar diya to aapne in par jaari kar di”
(muslim)
yah to muslim shareef ki riwayaten thi ab khuch dusri riwayatein sune MURTARDARK HAKIM me hai ke
” ek sahaba kiram ra hz ibn abbas ra ke paas aaye aur kaha aapko maaloom hai ke teen talaaqen huzoor(sws) ke ahad me ek ki taraf lauta di jaati thi, aapne farmaya–haan!,”
(hakim, imam hakim ise sahih kahte hain)
musnad ahmad me hai ke:- ” zamana abdul azeez ra ne apni biwi ko teen talaaqen ek hi majlis me di, phir bahut ghamgeen huwe, huzoor(sws) ne inse daryaft farmaya ke kis tarah tum ne talaaq di?? Unhone kaha main teen talaaqen de chuka, aapne farmaya ek hi majlis me? Kaha- haan!, aapne farmaya tumhe sirf ek ka ikhtiyaar tha, agar chaaho to ruju kar lo, chunanche unhone ruju kar liya,”
imam ahmad iski sanad ko sahih aur hasan batlaate hain,
imam tirmizi rh kahte hain ke iski sanad me koi kharaabi nahi
HZ UMAR RA KA HUQM SIYAASI(POLYTICAL) THA NA KE SHARAI:
Tamam ulema e islam sahih muslim ki hadith ki sehat ko tasleem karte hain lekin kuch ulema kahte hai ke Chunke hz umar ra ne ek majlis ki teen talaaq ko teen hi naafez kar diya isliye ham bhi teen hi ka fatawa den ge
Aur mubaah aur halaal cheezon ko taazeeran band kar diya tha,
” hz umar ra ke paas ek aurat laayi gayi jisne apne ghulaam se nikah kiya tha, hz umar ra ne in dono me tafreeq kara di, aur taazeeran aainda ke liye dosre khwaandon se nikaah is par haraam kar diya”
(kanzul ummal)
isi tarah- “hz huzaifa ra ne madyan me ek yahoodan se shaadi ki hz umar ra ne likha ke isko talaaq de do, yah musalman awraton ke liye bahut bada fitna hai, haalanke ahle kitab ki auraton se nikah karna nas qur’an se saabit hai”
(azaala al khafa’aa)
phir aakhir anjaam ya huwa ke hz umar ra ne jis amal ko rokne ke liye ye huqm nafez kiya tha, isme to qaamyaab na sake, balke usse dusri kharaabiyan paida ho gayi, jode bichhad gaye, ghar ujad gaye,,
jaisa is qism ki surat haal me aaj bhi ho raha hai,
ispar hz umar ra ko badi nadaamat(sharmindagi) hoi,
aur aap pukaar uthe -“ke mujhe itni nadaamat wa sharmindagi kisi aur
hamare arz yah hai ki hz umar ra ko yahan pesh karna munasib nahi, daur e nabawi ka faisla hamare liye qaabil e qubool aur kaafi hona chahiye,
hz umar ra ne jo kuch kiya wah ek maslehat wa waqt ka taqaaza tha na ke sharai maslah,
ek kaam jo mana tha khilaaf e sunnat tha, lekin agar kisi se ho jaaye to shariat ise pakadti na thi, jab logon ne ba kasrat ,be khauf hokar ise shuru kar diya to aapne bahaisiyat qanoon ya huqm farmaya ke main aainda se teen ko teen hi gin lunga, yah sirf isliye tha ke log ek saath teen talaaqen dene se baaz aa jaayen, warna phir teen saal tak yah huqm sharai jaari kyon na huwa?
Yah ek durrah farooqui tha jo unki saza ke liye tha na ya ke hz umar ra ne huqm sharai badal diya…. Naozubillah man zaalik
hz umar ra ne is waqeye talaaq ke elawaa bhi baaz aur Maamle me nahi hui jitni in teen baaton par hui ke maine ek majlis ki teen talaaqon ko teen nafez kar diya aur do baatien aapke muqammal alfaaz ye hain
” ma nadamata ala, shai’ee nadamati ala salasa in la akoona hurmata al talaaq, wala in la akoona inkahat al mawaali wa aala an la akoona qatlat al nawaih”
(akhrajah abu bakr ala ismail fi musnad umar, kazaafi ghaashiyah al lahfaan pg 181 matbua egypt)
kyonki jis gharz se aapne yah huqm siyaasi jaari kiya tha, wah haasil nahi huwa to aap naadam hue, isse bhi saaf zaahir hai ke yah hurmat ka fatawa aap ka ijtehaadi tha, huqm sharai na tha…….
ALLAH HAMEN HAQ BAAT SAMJHNE KI TAUFEEQ DE

Comments