Assalamu Alaikuum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu
"Maahe Ramadan K Rozou Ki Fazilat"
1.Rozey Ki Tarha Koi Amal Nahi:-
Abu Amama (رضي الله عنه) Se Riwayat Hai:
Maine kaha Aye (ALLAH k RASOOL) Mujhe koi Hukum dijiye k Main (Barahe Raast Usse) Aapse Aqaz karo. Aap {ﷺ} Ne Farmaya:
❝Rozey Ka Ahtemaam Karo Kyu k Rozey ki Tarha Aur Koi Amal Nahi.❞
(Musnad Ahmad,Nisayi,Ibn Hibban,Hakim,Sahih Al Jamai Hadees No.4044 sahih)No photo description available.
2.Roza Magfirat Ka Zariya:-
Abu Huraira (رضي الله عنه) se Riwayat hai
ALLAH k Rasool {ﷺ} Ne Farmaya:-
❝Jisne Imaan K Sath Aur Sawab ki Niyyat Se Ramadan k Rozey Rakhe Uske Pichle Saare Gunah Muaf Kardiye Jaate Hai.❞
(Sahih Bhukhari Kitabul Imaan Hadees No.38,Sahih Muslim Salatul Musafireen wa Qasraha Hadees No.1267)
3.Roza Jahannum Se Aazadi Ka Sabab Hai:-
Abu Amama (رضي الله عنه) se Riwayat hai:
ALLAH k Rasool {ﷺ} ne farmaya:-
❝ALLAH {ﷻ} Har Iftaar k Waqt Jahannum Se Kuch Logou ko Azaad Karta Hai Aur Ye (Ramadan ki) Har Raat Hota Hai.❞
(Musnad,Tabrani,Ibn majah,Sahih Al Jamai Hadees No.2170 hasan)
4.Roza Jahannum Se Dhaal Hai:-
Usman bin Abul Aas (رضي الله عنه) Se Riwayat Hai ALLAH k Rasool {ﷺ} Ne Farmaya:-
❝Roza Dhaal Hai Jiske Zariye Banda Jahannum Se Apni Hifazat Karta Hai.❞
(Tibrani,Sahih Al Jamai Hadees No.3876 hasan)
Abu Huraira (رضي الله عنه) Se Riwayat hai
ALLAH k Rasool {ﷺ} Ne Farmaya:-
❝Roza Dhaal Hai, Aur Jahannum Se Bachao K Liye Ek Mazboot Qila Hai.❞
(Musnad Ahmad, Shuaib ul Imaan lil Bayhaqi, Sahih Al Jamai Hadess No.3880 hasan)
5.Roza Nafs ki Bimariyou Ka Ilaaj Aur Taqwa Ka Sabab:-
ALLAH {ﷻ} Ne Farmaya:-
❝Aye Imaan Walou Tum Per Rozey Farz Kar Diye Gaye Waise hi Jaise Tum Se Pahle Logou Per Farz kiye Gaye the, Taake Tum Taqwe ki Rah Ikhtiyaar Karo.❞
(Surah Baqrah Surah No.2 Ayat No.183)
ALLAH k Rasool {ﷺ} Ne Farmaya:-
❝Sabr k Mahiney (Ramadan) k Rozey Har Mah k 3 Rozey Siney Me Moujud Kharabiyou ko Nikaal Dete Hai.
(Al Bazaar,Tibrani,Sahih Al Jamai Hadees No.3804 sahih)
6.Ikhlaas k Sath Rozey Rakhne ki Fazilat:-
Abu Huraira (رضي الله عنه) Se Riwayat hai
Nabi {ﷺ} Ne Farmaya:-
❝Allah {ﷻ} Fartmata Hai:-Roza Mere Liye Hai Aur Main hi Iska badla Dunga (kyun k) Rozedaar Mere hi khaatir Apni Shahwat, Khana Pina chod deta hai. Aur Rozedaar k liye do khushiya hai, Ek Khushi Iftaar k Waqt Aur Ek khushi us Waqt Jab Wo Apne Rab Se Milega. Aur Rozedaar k muh ki Badbo ALLAH k Nazdeek Mushk ki Khushboo Se Bhi Zyada Umdah Hai.❞
(Sahih Bukhari Kitab ut Tawheed Hadees No.7492,Sahih Muslim Kitab us Siyam Hadess No.1946)
7.Sahri ki Fazilat:-
Anas (رضي الله عنه) Se Riwayaat hai
Nabi {ﷺ} ne farmaya:-
❝Sahri kiya karo is liye k Sahri Me Barkat Rakhi gayi hai.❞
(Sahih Bukhari Kitab us Saum Hadess No.1923,Sahih Muslim Kitab us siyam Hadess No.1835)
Abu Saad (رضي الله عنه) se Riwayaat hai
Nabi {ﷺ} Ne Farmaya:-
❝Sahri Khana Barkat Hai, Lehaza Isey Na Chodo Chahe Tum Paani Ka Ek Goont Hi Peelo, Isliye k ALLAH aur Uske Farishtey Sahri Karne Walou Per Salamati Bhejte Hai.❞
(Musnad Ahmed,Sahih Al Jamai Hadees No.3683 Hasan)
8.Rozey Me Bhul Kar Kuch khaa Peelene Wale Per Koi Gunah Nahi:-
Abu Huraira (رضي الله عنه) Se Riwayaat hai
Nabi {ﷺ} Ne Farmaya:-
❝Jisne Bhul kar Rozey ki Halat Me kha Peeliya to Wo Apna Roza Poora Kare kyun k Isey ALLAH Ne khilaya Pilaya Hai.❞
(Sahih Bukhari Kitab ul Imaan Wan Nazoor Hadees No.6669,Sahih Muslim Kitab Us Siyam Hadees No.(171)1100)
9.Us Shaks ki Fazilat Jiska Khaatma Kisi Din k Rozey Per Ho:-
Huzaifa (رضي الله عنه) se Riwayat Hai
Nabi {ﷺ} Ne Farmaya:-
❝Jis ka Khaatma kisi Din k Rozey Per Ho Wo Jannat Me Dakhil Hoga.❞
(Al Bazaar,Sahih Al Jamai Hadees No.6224 Sahih)
10.Rozedaar Baab Riyaan Se Jannat Me dakhil Honge:-
Sahal bin Saad Saadi (رضي الله عنه) Se Riwayaat Hai k Nabi {ﷺ} Ne Farmaya:-
❝Jannat Me Ek Darwaza ''Riyaan'' Hai Jissey Qayamat k din Rozedaar Dakhil Honge, Un k Siwa Usse Koi dakhil Nahi hoga. Kaha Jayega: Kaha Hai Rozedaar? Wo Khade Honge Aur Usse Dakhil Ho Jayege, Unke Dakhil Hone k baad Darwaza Band Kardiya Jayega Phir Us Darwaze Se Koi Dakhil Nahi Hoga.❞
(Sahih Bukhari Kitab us Saum Hadees No.1896,Sahih Muslim Kitab us Siyam1947)

Comments