📮WASEELAH KI HAQIQAT
🍂🍃Bismillahhirrahmanirraheem🍃🍂
SIRF 3 TARAH KE WASEELAH LENA JAYEZ.
(There are only 3 kinds of Intercessions which are Valid)

JAYEZ WASEELEY

1.ALLAAH Ke Naamon Ka WaseeLah.
📚[AL-Qur-aan, 7 : 180 & 17 : 110]
2.Apne Neyk A’maaL Ka WaseeLah.
📚[Saheeh AL-Bukhaari : 2215]
3.Kisi Neyk ZINDAH AADMI Se Duaa’ Karwaana.
📚[Saheeh AL-Bukhaari : 1010]

🔴SABSE PEHLA WASEELAH.
(First Intercession)
1. Aur Achchey Achchey Naam ALLaah Hi Ke Liye Hain So Un Naamon Se ALLaah Hi Ko Mausoom Kiya Karo.(Ya’ni ALLaah Ke Naamon Se Pukaaro)
In English,
And (all) the Most Beautiful Names belong to ALLaah, so call on Him by them. (It Means invoke ALLaah by his names)

📕[Surah AL-A’raaf, Aayat : 180]

2. [Aye Nabi (SaLLaLLaahu A’Laihi WasaLLam)]
Keh Deejiye Ke ALLaah Ko ALLaah Kehkar Pukaaro Ya Rahmaan Kehkar Jis Naam Se Bhi Pukaaro Tamaam Achchey Naam Usi Ke Hain.
In English,
Say [O Muhammad (SaLLaLLaahu A’Laihi WasaLLam)]: “Invoke ALLaah or invoke the Most Beneficent (ALLaah), by whatever name you invoke Him (it is the same), for to Him belong the Best Names.
📗[Surah Banee IsraaeeL, Aayat : 110]
APNE NEYK A’MAAL KA WASEELAH MAANGNEY KA TAREEQAH.
(Intercession of your Good deeds.)

Raavi-e-Hadees Ibn U’mar (RaziyALLaahu A’nhu)

Nabi (SaLLaLLaahu A’Laihi WasaLLam) Ne Farmaaya :“Teen Shakhs Kaheen Baahar Jaa Rahey The Ke Achaanak Baarish Honey Lagi. Unho Ne Ek Pahaad (Mountain) Ke Ghaar (Cave) Mein Jaakar Panaah Lee. IttifaaQ Se Pahaad Ki Ek Chattaan Oopar Se Giri (Aur Us Ghaar Ke Mooh Ko Bund Kar Diya Jis Mein Yeh Teenon Panaah Liye Huye The)
Ab Ek Ne Doosrey Se Kaha Ke Apney Sab Se Achchey A’maL Ka Jo Tum Ne Kabhi Kiya Ho, Naam Ley Kar ALLaah Taa’Laa Se Duaa’ Karo.
1. US PAR UN MEIN SE EK NE YE DUAA’ KI : Aye ALLaah ! Merey MAA BAAP Bohat Hi Bhoodhey The. Main Baahar Ley Jaakar Apne Maveyshi (Cattle) Charaata Tha. Phir Jab Shaam Ko Vaapas Aata Tou Un (Maveyshi Jaanwaron) Ka Doodh NikaaLta Aur Bartan Mein PehLe Apne VaaLidain Ko Peysh Karta. Jab Merey VaaLidain Pee Chuktey Tou Phir Bachchon Ko Aur Apni Beewi Ko PiLaata. IttifaaQ Se Ek Raat Vaapsi Mein Deyr Ho Gayi. Aur Jab Main Ghar Lauta Tou WaaLidain So Chukey The. Usney Kaha Ke Phir Mainey Pasand Nahin Kiya Ke Unhein Jagaaun Bachchey Merey Qadmon Mein Bhookey Padey Ro Rahey The. Main Baraabar Doodh Ka PyaaLah Liye VaaLidain Ke Saamney Usi Tarah Khada Raha Yahaan Tak Ke Subah Hogayi. AYE ALLAAH ! AGAR TEREY NAZDEEK BHI MAINEY YEH KAAM SIRF TERI RAZAA HAASIL KARNEY KE LIYE KIYA THA, Tou Hamaarey Liye Is Chattaan Ko Hataa Kar Itna Raastah Tou Bana Dey Ke Hum Aasmaan Ko Tou Dekh Sakein.
Nabi (SaLLaLLaahu A’Laihi WasaLLam) Ne Farmaaya : Chunaachey Woh Patthar Kuch Hatt Gaya.
2. DOOSREY SHAKHS NE DUAA’ KI : Aye ALLaah ! Tu Khoob Jaanta Hai Ke Mujhey Apne Chachaa Ki Ek Ladki Se Itni Zyaadah Muhabbat Thi Jitni Ek Mard Ko Kisi Au’rat Se Ho Sakti Hai. Us Ladki Ne Kaha Tum Mujhse Apni Khwaahish Us WaQt Tak Poori Nahin Kar Saktey Jab Tak Mujhey Sau Ashrafee (100 Deenaar/ Gold Pieces) Naa Dey Do. Mainey Un (100 Deenaar) Ko HaasiL Karney Ki Koshish Ki, Aur Aakhir Utney Ashrafee Jama’ Kar Liye. Main Us Ke Dono Raanon (Thighs) Ke Darmiyaan Baitha. Tou Woh BoLi ALLaah Se Darr, Aur Mahar Ko Naa Jaaez TareeQey Par Naa Tod (Ya’ni Baghair Shaadi Ke). Us Par Main Khada Hogaya Aur Mainey Usey Tark Kar Diya (So, I got up and left her).
AB AGAR TEREY NAZDEEK BHI MAINEY YE A’MAL TERI HI RAZAA KE LIYE KIYA THA. Tou Hamaarey Liye (NikaLney Ka) Raastah Bana Dey.
Aap (SaLLaLLaahu A’Laihi WasaLLam) Ne Farmaaya : Chunaachey Woh Patthar Do Tihaai (two-thirds) Hatt Gaya.

3. TEESREY SHAKHS NE DUAA’ KI : Aye ALLaah ! Tu Jaanta Hai Ke Mainey Ek Mazdoor Se Ek FaraQ (Teen (3) Saa’ Jo TaQreeban 7.5 Kg Hota Hai) Jawaar (Barley/Baajraa) Par Kaam Karaaya Tha. Jab Mainey Uski Mazdoori Usey Dey Dee Tou Usney Leney Se Inkaar Kar Diya. Mainey Us Jawaar Ko Ley Kar Bo Diya (Kheyti Jab Kati Tou Us Mein Itni Jawaar Paida Huyi Ke) Ussey Mainey Ek BaeyL (Cow) Aur Ek Charvaaha (Shepherd) Khareed Liya. Kuch A’rsah Ba’d Phir Usney Mazdoori Maangi, Ke ALLaah Ke Bandey Mujhey Mera HaQ Dey Dey (Ya’ni Mazdoori). Mainey Kaha Ke Us BaeyL (Cow) Aur Us Charvaahey (Shepherd) Ke Paas Jaao Ke Yeh Tumhaari Hi Mazdoori Hai Usney Kaha Ke Mujhse MazaaQ Kartey Ho. Mainey Kaha Main MazaaQ Nahin Karta. VaaQa’ei Yeh Tumhaarey Hi Hain. Tou AYE ALLAAH ! AGAR TEREY NAZDEEK YEH KAAM MAINEY SIRF TERI RAZAA HAASIL KARNEY KE LIYE KIYA THA Tou Yahaan Hamaarey Liye (Is Chattaan Ko Hataa Kar) Raastah Bana Dey. Chunaache Woh Ghaar (Cave) Poora KhuL Gaya. Aur Woh Teenon Shakhs Baahar Aagaye.

📚[Saheeh AL-Bukhaari, Book of Sales and Trade, Hadees : 2215]

TO READ IN ENGLISH JUST VISIT THE LINK GIVEN BELOW 🏻🏻

SEE THIS LINK : http://sunnah.com/bukhari/34/162

📝TASHREEH : Is Hadees Se A’maaL SaaLih (Nekiyon Ke Kaamon) Ko Bataur WASEELAH ALLAAH Ke Saamney Pesh Karna Saabit Hua. Aur AsaL WASEELAH Aisey Hi A’maaL SaaLihah Ka Hai.
Aur Aayat Kareemah : WABTAGHOO ILAIHIL-WASEELAH (AL-Qur-Aan : AL-Maaeidah : 35) Ka Yahi MafHoom Hai. Jo Log QABARON, MAZAARON Aur MURDAH BUZURGON KA WASEELAH DHOONDTEY HAIN WOH GHALATI PAR HAIN.
ZINDAH AADMI KA WASEELAH LENA.
(Taking intercession of a living person)

Raavi-e-Hadees Anas Bin MaaLik (RaziyALLaahu A’nhu)
Ke Jab U’mar (RaziyALLaahu A’nhu) Ke Zamaaney Mein Qahat (Sookha) Padta Tou U’mar (RaziyALLaahu A’nhu) Abbaas Bin A’bduL MuttaLib (RaziyALLaahu A’nhu) Ke WaseeLah Se Du’a Kartey Aur Farmaatey Ke :
Aye ALLaah ! PehLe Hum Terey Paas Apne Nabi (SaLLaLLaahu A’Laihi WasaLLam) Ka WaseeLah Laaya Kartey The Tou Aap Paani Barsatey The. Ab Hum Apne Nabi (SaLLaLLaahu A’Laihi WasaLLam) Ke Chachaa (Abbaas RaziyALLaahu A’nhu) Ko WaseeLah Banaatey Hain Tou Aap Hum Par Paani Barsaaiye.
Anas (RaziyALLaahu A’nhu) Kaha Ke Chunaanchey Baarish Khoob Hi Barasti.

📚[Saheeh AL-Bukhaari, Kitaab-UL-IstisQaa, Hadees : 1010]
To Get this Hadees In English Please visit the Link Given below.🏻🏻
SEE THIS LINK http://sunnah.com/bukhari/15/5

📝TASHREEH : Is Hadees Se Ma’Loom Hota Hai Ke Ghair Maujood (Insaan) Ya Murdon Ka WaseeLah Lena Naa Jaaez Hai.

Jaisa Ke Aaj KaL Ke Kuch Gumraah MusaLmaan Marey Huye Buzurgon Ka WaseeLah Letey Hain.

NOTE : Agar Marey Huye Logon Ka WaseeLah Lena Jaaez Hota Tou U’mar (RaziyALLaahu A’nhu) Nabi (SaLLaLLaahu A’Laihi WasaLLam) Ka WaseeLah Zaroor Letey The.

Sahaabah Bhi Is Hadees Mein Jis Tarah BatLaaya Gaya Hai Sirf Usi Tarah Ka WaseeLah Liya Kartey The.

ALLaah Hamaarey Naam Nihaad MusaLmaanon Ko Saheeh Deen Ki Samajh A’taa Farmaa.
Aameen ya RabbaL Aa’Lameen..!!

Comments