★ Sunnat Ki Ahmiyat ★No photo description available.
 Al-Quran: Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Agar Ye Log Aapki Baat Na Maney! Tou Allah Aise Kaafiro Se Mohabbat Hi Nahi Karta. -[Surah (3) Imran : Ayat-32] –
 Al-Quran: Keh Do Ke! Allah Aur Uskey Rasool Ki Ita-at Karo! Aur Apne Aamaal Ko Barbaad Na Karo..” – [Surah (47) Mohammad Aayat 33]
Al-Quran: Aye Wo Logon Jo Imaan Laye Ho! Gour Se Suno Ke Allah Aur Uskey Rasool Jis Taraf Tumhe Bulatey Hai Uss Taraf Jao, Jab Ki Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Uss Cheez Ki Taraf Tumhe Bulatey Hai Jo Tumhe Zindagi Deti Hai Duniya Aur Aakhirat Ki,..
Agar Tum Aisa Na Karoge Tou Jaan Lo Ke Allah Insan Aur Uskey Dil Ke Bich Me Aad Ban Jata Hai , Usko Hidayat Se Door Kar Deta Hai.. Aur Yaad Rakho Ke Palat Kar Allah Hi Ki Taraf Jana Hai Tum Sabko..” – [Surah (8) Anfal: Ayat 24]
 Al-Quraan: Aye Emaanwalo ! Ita’at Karo Allah Ki Aur Uskey Rasool Ki,
Aur Ita’at Karo Unki Jo Ulool Amr Hai
(Isme Khalifa-e-Wakt Aur Ulma Isme Shamil Hai),
Lekin Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye
Tou Paltaado Apni Baato Ko Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf
Agar Allah Aur Roze Aakhirat Par Iman Rakhte Ho”.
– [Surah Nisa(4); Ayat(59)]
 Al-Quraan: Ita-at Karo Allah Ki Aur Uske Rasool Ki Taaki Tum Par Reham Kiya Jaaye” – [Surah Aale Imran: Ayat-132]
 Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Ek Roz Farmaya Ke –
Mere Jaanshino Par Allah Ki Rehmat Ho!”
*Arz Kiya Gaya: “Ya Rasool’Allah! Aapke Jaanashin Koun Hain?”
*Farmaya: “Jo Meri Sunnat Se Mohobbat Rakhte Hain Aur Usey Allah Ke Bando Ko Sikhate Hai.”
– (Tafsir-e-Kathir) –

Comments